Free Fire Ki Solo vs Squad Tips and Tricks | Garena Free Fire

Free Fire Ki Solo vs Squad Tips and Tricks | Garena Free Fire

Kya? Solo vs Squad karna chahte ho? Seriously? Ha mujhe pata hai ke aap bhi Free Fire main solo vs squad khelkar apne dosto ke samne pro banna chahte ho. Har Free Fire ka player yahi chahta hai ke vo apni Free Fire squad main pro kehlaya jae aur game main Ranked match ya Custom matches khelne ke liye dost hame phone karke bulae. Take vo rank push kar sake aur custom jeet sake. Agar aapko game main aisi image bana hai to aapko logo ko apna gameplay dikhana hoga jo aap apne match main teammates ke marne ke baad aap solo vs squad main apna gameplay dikha sakte ho. Aaj ke is post main, main aapko bataunga ke aap solo vs squad main apna gameplay kaise improve karsakte ho aur main aapko ye bhi bataunga ke aap solo vs squad khelte waqt kya mistakes karte ho. To aaiye jante hai iske bare main. Iske kuch rules bhi hai jo aapko follow karne padenge warna aap Solo vs Squad nahi khel paoge.

RULES


1. Rush Mat Karna

Aapko kabhi bhi solo vs squade main enemy squad par direct rush nahi karna hai. Agar aap aisa karte ho to aap mare jaoge saath hi saath noob bhi ghoshit kardiye jaoge. Aaapke saath koi bhi khelna pasand nahi karega to direct rush arna to bhool hi jao.

2. Knock Enemy Ko Pura Finish Mat Karna

Solo vs Squad main khelte waqt kuch log bohot hi badi galti kate hai. Pehle enemy ko down karte hai phir us down enemy ko pura khatam karne karne ke chakkar main mare jate hai. Down karne ke baad enemy ko pura khatam karna ek noob player ki nishani hai. Agar aapke pass time hai to aap aisa kar sakte ho.

3. Over Confidence Main Nahi Aana hai

Free Fire main kuch legend player to aise hote hai ke samne kisi bande ko dekhte hai, phir sochte hai ke aaram se kill nikal lunga. Samne noob hi to hai. Aur char enemies ke bich main sidha hi ghus jate hai aur vo char enemies milke aapko mar dete hai. Ye sab hota hai sirf aapke Over Confidence ke karan. To kabhi bhi aisi galti mat karna. Aur yaha par aapko jarurat hai Confidence aur Dimaag se khelne ki to dimaag ka achche se istemaal karke situation ko handle karna jaruri hai.

4. Badhiya Characters Ka Combination

Ab to bhai baat karte hai ke solo vs squad main aap aise konse characters ka use kar sakte ho jo aapko solo vs squade main bohot hi jyada kaam main aaenge. Solo vs squad main khelte samay achche charcter combination ka hona bohot hi zyada jaruri hai kyunki achcha character hoga matlab achcha skills hoga. Aur isi skills ka use karke hi ham aaram se solo vs squad khel kar us match ko win kar sakte hai. To dekhte hai Best Characters Combination ko magar pehle jaan lete hai ke Active Skill characters aur Passive Skill characters ke bare main.

1. Free Fire Active Skill Characters 

Free Fire Game main aapko bohot sare active skill characters dekhne ko milte hai jise aapko manually button click karke use karna padta hai. Phir vo skill kuch seconds ke liye enable/on ho jati hi aur skill time out hone par use phir se use karne ke liye aapko kuch seconds tak rukna padta hai. Timer khatam hone ke baad aap us skill ko dobara se use kar sakte ho. 

Some Active Skill Characters

  • DJ ALOK
  • K {KSHMR}
  • CHRONO
  • SKYLER
  • RAFAEL
  • STEFFI
  • WUKONG


2. Free Fire Passive Skill Characters

Free Fire game ke andar jaha characters ki baat ki jati hai wahi par in characters ke andar kafi sare passive skill characters bhi hai. Passive Skill characters matlab aise characters jinke skill ko use karne ke liye kisi bhi tarha ke button ko press karne ki jarurat nahi hai. Jis tarha active skill use karne ke liye aapko manually ek button pess karna padta tha. Yaha par vaisa kuch bhi karne ki zarurat nahi hai aur na hi yaha par aapko koi timer dekhne ko milta hai iska matlab aapko ise use karne ke liye rukne ya intezar karne ki koi bhi zarurat nahi hia. Aap Passive Skill ko unlimited times use kar sakte ho vo bhi bina timer ke aur ye Passive skill characters ki khaas baat hai.

Some Passive Skill Characters

  • KELLY
  • MAXIM
  • CAROLINE
  • HAYATO
  • JOTA
  • LUQUETA
  • MOCO
  • JOSEPH
  • JAI



Free Fire Ki Solo vs Squad best Character Combination


Dekho aaj main aapko Free Fire main kuch aise character combinations batane wala hu jise aap sabhi log clash squad, custom room, classic, ranked wagera modes main khel kar Booyah kar sakte ho aur game ko jeet sakte ho. To main aapko bataunga best character combination, to carefully read zarur karna.

Best Character Combination

DJ AKOL + JOTA + ANDREW + KELLY

DJ ALOK

Solo vs Squad ke liye agar ham baat kare sabse achche active skill character ki to Dj Alok ka naam number one position par aata hai kyunki iski skill hi kuch aisi hai. Dj Alok Free Fire game ka ek bohot hi famous character hai. iski famous hone ki bhi wajha hai ke ye character koi imagination nahi hai balke ye ek real life character hai jo ke hamari asli dunia main maujood hai. Alok ek famous Brazilian Musician hai aur inhone Garena Free Fire ke saath global collaboration kiya hai isi liye DJ Alok game main hai. Ab ham baat karte hai yaha par ke Dj Alok ki ability kya hai? To sabse pehle Skill ka naam hai Drop the Beat. Dj Alok ki Skill hai Creat a 5m aura that increases ally movement speed by 15% and restore 5 Hp/s for 10 seconds cannot be stacked, Matlab aapko 50 hp  ke saath saath 15% Movement speed bhi increase ho jati hai. Isi liye Dj Alok ko use karna sabse best hai. 

JOTA

Free Fire Ki Solo vs Squad Tips and Tricks
JOTA

To direct hi baat karte hai Jota ke skill ki. Jota ki skill ka naam hai Sustained Raids. Jota ki skill hai SMG or Shotgun kills will instantly restore 40 HP, cool down 5 seconds. Jota ko use karna ek bohot hi badi samajhdari hai aur clash squad jaise modes main to is character ko use karne par, aap ke liye jeetna bohot hi aasan ho jata hai. Kyunki Jota aapko kill karne par instant 40 hp deta hai vo bhi bina heal kiye aur koi time ki bhi zarurat nahi hoti hai. Solo vs Squad tips and tricks main Jota ki skill ko agar first position par rakha jae to ye galat nahi hoga kyunke solo vs squad main kisi ko kill karte hi apko 40 Hp milti hai aur aap thode se safe ho jate ho aur aap enemies ka aur bhi damage le sakte ho.

ANDREW

Free Fire Ki Solo vs Squad Tips and Tricks
ANDREW

Solo vs Squad main aap jab bhi kelte ho to iska matlab hota hai ke samne char enemies aur aap akele. Yaha par aapko akele hi un charo enemies ko kill karna hai. To jab samne ke enemies aapko damage denge to aapko zarurat hai koi aise character ki jo aapke vest ko phatne se bachaye to solo vs squad main aapko use karna hoga Andrew character ko jo ke Free Fire Game ke bohot hi purane characters main se ek hai. Ab dekho Andrew character aakhir kya karta hai. to baat karlete hai Andrew ki skills ki. Andrew ki skill ka naam hai Armor Specialist. Andrew ki skill hai Vest duribility loss decreased by 10% . Matlab Solo vs Squad main jab aapko char bande milkar marenge to aapko damage thoda kam padega. To zyada damage jhelne ke liye Solo vs Squad main Andrew character best character ke roop main samne aata hai. 

KELLY

Agar ham baat karte hain bhaagne ki speed ki, jo ke solo vs squad main bohot hi kaam aati hai. Solo vs Squad main aapko achchi movment speed dikhani hoti hai. To agar aapke pass koi  aisa character hoga jo aapke bhaagne ki speed ko thoda sa increase karde yani badhade to ye solo vs squad main aapke liye bohot faeda mand hoga. To jab baat aati hai bhaagne ki speed ko increase karne ki to Free Fire main sabse badhiya character hai Kelly. Agar aap chahte ho ke enemies se zyada movment speed aapke pass ho to aapko yaha par choose karna hoga Kelly ko. Agar ham baat kare Kelly ki abilites ki to Kelly ki skill ka naam hai Dash. Kelly ki ability hai Sprinting speed incresed by 6%. Solo vs Squad main sprinting speed ka increse hona bhi koi kam baat nahi hai to ye aapko victory dila sakta hai.